Tere naam ki lakir nahi thi
Aisa nahi tha ki dil mein teri tasveer nahi thi,
Par hatho mein tere naam ki lakir nahi thi,
______________________________________
Gahrayi pyaar mein ho to bewafai nahi hoti,
Sachche pyaar mein kahin tanhayi nahi hoti,
Magar pyaar zara sambhal kar karana mere dost ,
Pyaar ke zakham ki koi dawa nahi hoti,
______________________________________
Bewafa shayari in hindi for girlfriend
Aaj hum uneh bewafa batakar aaye hain
Unke khaton ko paani mein bahakar aaye hain,
Koi nikal kar phad na le uneh
Isliye paani mein bhi aag lagakar aaaye hain,
_______________________________________
Woh mili bhi to kya mili ban ke bewafa mili ,
Itna toh mere gunah na the jitni mujhe saja mile,
_______________________________________
Teri wafa ke takaaje
Teri wafa ke takaaje badal gaye varna,
Mujhe to aaj bhi tujhse ajeej koi nahi
_______________________________________
Tera khayal dil se mitaya nahi abhi
Bewafa maine tujh ko bhulaya nahi abhi,
_______________________________________
Bewafa shayari in hindi jise bhi mili bewafai
Insaan ke kandho par insaan jaa raha tha,
Kafan mein lipta hua armaan jaa raha tha,
Jise bhi mili bewafai mohabbat mein
Wafa ki talash mein samsaan jaa raha tha,
_______________________________________
Agar duniya mein jeene ki chahat na hoti
To khuda ne mohabbat banayi na hoti
Is trah log marne ki aarzoo na karte
Agar mohabbat mein kisi ki bewafai na hoti,
_______________________________________
Bewafa shayari maksad ka talabgaar mila
Humein na mohabbat mili na pyaar mila,
Humko jo bhi mila bewafa yaar mila
Apni to ban gayi tamasha jindagi
Har koi maksad ka talabgaar mila
______________________________________
Seekh kar gaya hain vo mohabbat mujhse
Jisse bhi karega bemisal karega
_______________________________________
Tune hi lga diya iljaam -e-mohabbat
Adalat bhi teri thi gawah bhi tu hi thi
______________________________________
Vo khoye nahi badal gaye the...
Dhundh to lete apne pyaar ko hum
Shahar mein bheed itni bhi na thi
Par rok di talash humne,
Kyuki vo khoye nahi badal gye the
_______________________________________
Us bewfa ko na pyaar nibhana aaya
Dil ki daulat ko yu hi lootane aaya
Vo mil raha tha gairo se bade salike se
Mere mayyat pe bhi mujhko jalane aaya,
_______________________________________
Jaan ka wabal waise hi
Tujhe hain mashq -e- sitam ka malal waise hi,
Humari jaan hain jaan par wabaal waise hi,
Chala tha zikr zamane ki bewafai ka
To aa gay hai tumhara khayaal waise hi,
_______________________________________
Dard sa dard hain bhara usme
Tute dil ki sada ko rote hain
_______________________________________
Hath to apna badhaye
Pehloo ka dard kaisa hain ye to bataye
Dekhu mein nabj hath ka apna badhaye
_______________________________________
Ab to khusi ka gam hain na gam ki khusi mujhe
Behish bna chuki hain bahut jindagi mujhe
_______________________________________
Laa tere pairo par marham lga du
La tere pairo par marham lga du kuch chot to tujhe bhi Aayi hogi,
Mere dil ko thokar markar,
_______________________________________
Jal jal ke dil mera
Jalan se jal raha, ek ashq mere aankh mein muddat se pal raha, jiska main kar raha hu ghut ghut ke intajaar
Vo bewafa na aayi mera dum nikal raha hain
_______________________________________
Tu nafrat bhi na kar payegi
Tu nafrat bhi na kar payegi itni mujhse
Jitni siddat se tujhse pyaar kiya hai maine,
_______________________________________
Jo nazar se gujar jaaya karte hain
Vo sitaare aksar tut jaaya karte hain
Kuch log dard ko baya nahi hone dete
Bus chupchaap bikhar jaya karte hain
_______________________________________
Use bhula denge
Aye dil thodi himmat rakh
Dono mil kar use bhula denge
______________________________________
Mujhe parakhne mein puri jindagi laga di
Kaas kuch waqt mujhe samjhne mein lagaya hota
______________________________________
Chor di vo tamam aadat
Jo dukh deti thi,
Siwaye ek tujhe chahane ke
_______________________________________
Bewafa kisi ke dil me base to sahi
Khus hu ki mujhko jala ke tum hase to sahi
Mere na sahi kisi ke dil mein base to sahi.
_______________________________________
Benaam sa ye dard thahar kyu nhi jata
Jo bit gaya hai vo gujar kyu nahi jata
_______________________________________
Nind to dard ke bistar pe bhi aa sakti hain
Unki aagosh mein sar ho jaruri to nahi,
_______________________________________
Bewafa shayari in urdu jamne se chupana
Jamane se chupana is baat ko bekar tha tera ,
Duniya janti hain too bewafa pyaar tha mera,
______________________________________
Bewafa se dil laga liya nadan the hum, galti hum se huee insaan the hum,
Aaj jinhe nazre milane mein taklif hoti hain, kuch samay pehle unki jaan the hum,
_______________________________________
Tashir abhi baaki hain
Tune to mita daala tha mujhko bewafa
Meri paak mohabbat ki ek tashir abhi baaki hain,
_______________________________________
Ab kaha jarurat hain haantho me
Patthar uthane ki
Todne wale to jubaan se hi dil tod dete hain,
______________________________________
Bewafa samjh lena mujh ko
Tum samjh lena mujh ko, mai tumeh magrur maang lunga,
Ye wajh acchi hogi ek dusre ko bhul jaane ke liye,
_______________________________________
Mohabbat ka natija duniya mein humne bura dekha,
Jineh dawa tha wafa ka uneh bhi hum ne bewafa dekha hain,
_______________________________________
No comments:
Post a comment