Intezaar shayari bhulaye hue zamaane
Ai maut unhein bhulaye hue zamaane gujar gaye
Aa ja ke zeher khaye hue zamaane gujar gaye
O jaane wale aa ki tere intezaar mein
Raste ko ghar banaye zamaane gujar gaye,
_____________________________________
Jhuki huee palkon se unka deedar kiya
Sab kuch bhula ke unka intezaar kiya
Wo jaan hi na paaye jajbaat mere
Maine sabse jeeyada jinhen pyar kiya
_____________________________________
Intezaar shayari raat bhar chamkte rahe
Wo taaro ki tarah raat bhar chamkte rahe
Hum chaand se tanha safar karte rahe
Wo toh beete waqt the unhein aana na tha
Hum yoon hi saari raat karwat badalte rahe
_____________________________________
Kuch baatein karke wo hume rula ke chale gaye
Hum na bhulenge ye ehsaas dil ke chale gaye
Aayenge kab vo ab to ye dekhna hain umr bhar
Bujh rahi hain aag jise vo jala kar chale gaye
_____________________________________
Intezaar shayari hum nisaan ban gayi
Jakhm itne gahare hain izhaar kya kare
Hum khud nishaan ban gaye waar kya kare
Mar gaye hum magar khuli rahe ye aankhein
Isse jeeyada unka intezaar kya kare
____________________________________
Humne ye shaam chirago se saja rakhi hai
Apke intezaar mein palKe bichha rakhi hain
Hawa takra rahi hain shaam se baar baar
Aur humne shart in hawaon se laga rakhi hain
____________________________________
Intezaar shayeri tere liye ai sanam
Har pal tera intezaar rahta hain
Tere liye ai sanam ye dil bekarar rahta hain
Na tu kabhi aaya hain na tu kabhi aayega
Phir bhi kyu tera intezaar rahta hain
_____________________________________
Ab in hudood mein laya hain intezaar mujhe
Vo aa bhi jaye toh aaye na aitbaar mujhe
______________________________________
Intezaar shayari kahin wo aake mita de
Kahin wo aake mita de na intezar ka lUtf
Kahin qubul na ho jaye iltija meri
___________________________________
Humein bhi aaj hi karna tha intezaar uska
Use bhi aaj hi sab vaade bhool jaane the
____________________________________
Intezaar shayari ye kaisi mohabbat
Ye kaisi mohabbat hain ki main kis khumaar mein hoon
Vo aake jaa chuki hain main abhi intezaar mein hoon
_____________________________________
Fariyad kar rahi hain ye tarsi huyi nigaah
Dekhe hue kisi ko zamane gujar gaye
___________________________________
Intezaar shayari wahin raat rok ke
Ek raat wo gaya tha jahan baat rok ke
Ab tak ruka hua hoon wahin raat rok ke
_____________________________________
Ye keh keh ke hum dil ko samjha rahe
Hain
Wo ab chal chuke hain wo ab aa rahe hain
_____________________________________
Intezaar shayari armaan tujhse milne ke
Din bhar bhatakte rahtein hain tujhse milne ke
Na ye dil thehrta hain na tera intezaar uthtaa hain
_____________________________________
Raat der tak teri dahleez par baithi rahi aankhe
Khud na aana tha to koi khawab hi bhej diya hota
____________________________________
Intezaar shayari barasti hain aankhein
Unse milne ko tarasti hain aankhein
Taras taras kar barasti hain aankhein
Baras baras kar jab thak jaati hain aankhein
Toh fir se milne ko tarasti hain aankhein
_____________________________________
Meri aankhon mein aansoo nahi bas kuch nami hain
Wajah tu nahi teri ye kami hain
_____________________________________
Intezaar shayari inkaar karne par bhi
Us ajnabee se tujhe itna pyaar kyu hain
Inkar karne par bhi chahat ka intejaar kyu hain
Use paana nahi mere kismat mein saayed
Fir bhi har mod pe usi ka intezaar kyu hain
____________________________________
Dil diya hain aitbaar ki had thi jaan di yah mere pyaar ki had thi mar gaye lekin
Rahi meri aankhein yah toh mere intezaar ki had thi
_____________________________________
SAD SHAYARI
No comments:
Post a comment