Insult shayari ap jaisa dost aur na banaye
Dua karte hain hum khuda se
Ke wo aap jaisa dost aur na banaye
Ek cartoon jaisi cheez hain hamare paas
Kahin vo bhi common na ho jaye
_____________________________________
Jab tu hoti thi meri zindagi mein
To tere mere ishq ke charche bahut the
Accha hi hua zindagi se chali gayi tu
Kyuki tere kharche hi bahut the
____________________________________
Insult shayari aasmaan nila hain
Aasmaan jitna nila hain
Suraj mukhi jitna pila hain
Paani jitna gila hain
Aapka skru utna hi dheela hain
_____________________________________
Tu kahe to chaand taare tod du
Tu kahe to ye duniya chhod du
Tu ek baar has ke to dekh mere dost
Tere saare gande daant na tod du
____________________________________
Insult shayari chup kara liya hain
Is dil ko to ek baar
Behla kar chup kara liya hain
Par is deemag ka kya karu
Jiska tumne dahi bana diya hain
_____________________________________
Dil ki tammana hain ki main bhi
Apni palko pe bitha lu tujh ko
Bas tu apna wajan kam kar le
To palko pe bitha lu tujhko
____________________________________
Insult shayari paani aane ki baat karte ho
Paani aane ki baat karte ho
Dil jalane ki baat karte ho
Chaar din se muh nahi dhoya
Tum nahane ki baat karte ho
____________________________________
Meri izzat to bahut jeeyada hain
Bas dost aur ghar waale nahi karte
____________________________________
Insult shayari judai kar do
Aankhon se aanshu ki bidai kar do
Dil se gamo ki judai kar do
Gar fir bhi dil na lage kahin
To mere ghar ki putai kar do
____________________________________
Itna khubsoorat kaise muskara lete ho
Itna qatil kaise sharam lete ho
Kitni aasani se jaan lete ho
Kisi ne sikhaya hain ya bachpan se hi kamine ho
_____________________________________
Insult shayari kabil hum kaha
Taarif ke kabil hum kaha
Charcha to apki chalti hain
Sab kuch to hain aap ke paas
Bas seengh aur puchh ki kami khalti hai
_____________________________________
Ek ladki aakar bolti hain mujhe aapse milna hain
Maine bola ye le pagli tokan aur line mein lag jaa
_____________________________________
Insult shayari shaam hote hi
Shaam hote hi ye dil udas hota hain
Toote khawabon ke siwa kuch na paas hota hain
Teri yaad aise waqt bahut aati hain
Jab koi bandar aas paas hota hain
____________________________________
Tujhe kya laga tu chhor ke chali jayegi to main mar jaaunga
Ghantta ladki hain tu aaksijan nahi
_____________________________________
😁😁
ReplyDelete����
ReplyDeleteGood job
ReplyDeleteNice and good article , please also visit my blog
ReplyDeleteBest Hosting in Indonesia
Best Tablet with lower price
Thank's for sharing mr.