Maa shayari tumhare paas aata hu
Maa tumhare paas aata hu to saanse bheeg jaati hain.
Mohabbat itani milti hain ki aankhein bheeg jaati hain.
_____________________________________
Chalti firti aankhon se azaan di hain
Maine jannat to nahi dekhi hain maa dekhi hain.
_____________________________________
Maa shayari umar badhati hain
Umar to bus maa ke pet mein hi badhta hain
Baaki zindagi mein to umar bus ghat,ti hain
_____________________________________
Khubsurati ki inteha dekhi
Jab muskarate hue maa dekhi
_____________________________________
Maa shayari log kahte hain
Log bolte hain jannat se khubsurat kuch nahi
Shayad unhone kabhi apni maa ko khul kar haste hue nahi dekha hoga
_____________________________________
Maa ki duaa kabhi khali nahi jaati
Maa ki baat kabhi taali nahi jaati
Apne sab bachhe paal leti hain bartan dho kar
Aur baccho se ek maa paali nahi jaati
_____________________________________
Maa shayari roti pakana yaad aata hain
Meri khatir teri roti pakana yaad aata hain
Apne haatho ko chuleh me jalana yaad aata hain
Vo daant -daant kar khana khilana yaad aata hain
Mere waste tera paisa bachana yaad aata hain
_____________________________________
Maa sar par jo haath fere to himmat mil jaye
Maa ek baar muskara de to jannat mil jaaye
_____________________________________
Maa shayari sadme jhelati hain
Pahado jaisa sadma jhelati hain umr bhat lekin
Ek aulad ki taklif se maa tut jaati hain
____________________________________
Yun to maine bulandiyon ke har nishaan ko chhua
Jab maa ne god mein uthaya to aasmaan ko chhua
_____________________________________
Maa shayari rishto ki ye gehraiyan
Rooh ke rishto ki yeh gehraian to dekhiye
Chot lagti hain hume aur chilati hai maa
Hum khushiyon mein maa ko bhale hi bhool jaaye
Jab musibat aa jaye to yaad aati hain maa
_____________________________________
Halato ke aage jab saath na jubaan hoti hain
Pehchaan leti hain khamoshi mein har dard vo sirf maa hoti hain
_____________________________________
Maa shayari kisi ko ghar mila
Kisi ko ghar mila kisi ke hisse mein dukaan aayi
Main ghar mein sabse chhota tha mere hisse mein maa aayi
____________________________________
Thokar na maar mujhe patthar nahi hu main
Hairat se na dekh mujhe manjar nahi hoo main
Teri najro mein meri kadar kuch bhi nahi
Meri maa se punchh uske liye kya nahi hu main
____________________________________
Maa shayari gin leti hain deen
Geen leti hain deen bagair mere gujaare hain kitne
Bhalaa kaise kah du ki maa anpadh hain meri
_____________________________________
Ye aisa karz hain jise main ada kar hi nahi sakta
Main jab tak ghar na aa jau maa sajde mein rahti hain.
_____________________________________
Maa shayari labo pe kabhi baddua nahi hota
Labon pe uske kabhi badduaa nahi hoti
Bus ek maa hain jo mujhse khafa nahi hoti
_____________________________________
Sakht raahon mein bhi aasan safar lagata hain
Ye meri maa ki duaaon ka asar lagta hain
____________________________________
Maa shayari maa ne pyaar kiya
Jannat ke har lamhe ka didar kiya tha
God mein lekar jab maa ne pyaar kiya tha
_____________________________________
Ai zindagi tune rulakar rakh diya
Jaa kar punch meri maa se kitna laadala tha main
____________________________________
No comments:
Post a comment